Call Par Hawa Ki Awaz Aati Hai? Mic Wind Noise Fix 🎙️

Agar call ke doran doosri taraf wale ko hawa ki awaz, shor ya aap ki awaz kat kat kar sunai de, to aksar masla mic mein hota hai. Phone mein neechay aur kabhi kabhi oopar bhi chhota mic hota hai, aur us mein dhool ya hawa ki wajah se awaz kharab ho jati hai. Pehle mic ke surakh ko check karein. Naram brush ya halki hawa se dhool saaf karein, lekin sui ya tez cheez andar na dalein, warna mic kharab ho sakta hai. Agar aap bahar hain aur hawa tez hai, to hawa ki simt se peeth kar ke kharay ho jayein ya haath se mic ko halka sa cover karein, taake seedhi hawa mic par na paray. Phone ki setting mein noise cancellation ya noise reduction option on karein, agar maujood ho. Bluetooth earphones istemal kar rahe hain to unka mic check karein, kyun ke aksar masla earphone ke mic mein hota hai, phone mein nahi. Ek baar phone ko restart kar ke bhi test karein, aur doosri app jaise WhatsApp call par bhi awaz check karein — agar sirf ek app mein masla hai to app ka masla hai, phone ka nahi. Agar har call mein awaz kharab aati hai aur safai ke baad bhi theek na ho, to mic ki checking ke liye kisi achhay repairing center par jayein. Mic khud kholna ya garam hawa dena phone ko mazeed nuqsan pahuncha sakta hai. --- 📍 Mian Traderz, Sahiwal — Mobile Repairing Center 📱 WhatsApp: 0347 8750000 🔧 #MobileRepairing #MianTraderz