Ghabrayein Nahi — Ye Aam Masla Hai
Phone girne ke baad screen kaali lekin touch kaam kar raha ho to aksar display ka connector hil jata hai ya backlight circuit damage hota hai. Touch alag layer hoti hai, is liye wo kaam karti rehti hai — iska matlab ye nahi ke "sab theek hai".
Khud Kya Check Karein?
- Force restart: Power + Volume Down button 10-15 second dabayein. Kabhi sirf software hang hota hai aur restart se screen wapas aa jati hai.
- Torch test: kamre ki light band kar ke torch screen par maarein. Agar halki si image nazar aaye to backlight gaya hai — display repair/replacement hogi.
- Screen par tap karne se awaaz/vibration aaye to phone zinda hai, sirf display ka masla hai.
Kya NA Karein?
- Khud phone kholne ki koshish na karein — seal tootegi, warranty jayegi aur chhota masla bara ho sakta hai.
- Screen par zor se dabayein nahi — crack barh sakta hai.
Technician Kya Karega?
Pehle connector dobara lagayega (reseat) — aksar isi se masla hal ho jata hai aur kharcha bhi kam aata hai. Agar display panel hi damage ho to replacement hogi; us waqt original vs copy display ka farq zaroor poochein — copy mein touch aur rang ka masla aam hai.
Mashwara: Ahem data ka backup pehle se rakhein — tooti screen wala phone aksar computer se bhi data nahi deta.
📍 Mian Traderz, Sahiwal — Mobile Repairing Center
📱 WhatsApp: 0347 8750000
🔧 #MobileRepairing #MianTraderz