Pehle ye check karein ke masla software ka hai ya battery ka. Phone ko 100% tak charge karein, phir normal istemal kar ke dekhein ke percentage kis tarah girta hai. Agar sirf ek hi app par battery tezi se girti hai to wo app masla hai, use update ya uninstall karein. Agar poora phone aisa karta hai to battery health check karwayein — aksar repair shops par ye free check ho jata hai.
Kuch log battery calibration karte hain: phone ko 0% tak istemal karein, phir band haalat mein 100% tak charge karein aur 30 minute mazeed laga rehne dein. Ye kabhi kabhi percentage theek kar deta hai, lekin kharab battery ko naya nahi bana sakta. Local sasti battery lagwane se bachein — ye phone ko garam bhi karti hai aur board ko nuqsan bhi pahuncha sakti hai.
Agar battery phool rahi ho to use foran badlein, ye khatarnak ho sakta hai.
---
📍 Mian Traderz, Sahiwal — Mobile Repairing Center
📱 WhatsApp: 0347 8750000
🔧 #MobileRepairing #MianTraderz