Agar aap ka mobile charger laganay par bhi charge nahi le raha, ya charging aati jaati rehti hai, to sirf charger ya cable ko zimmedar na samjhein. Aksar masla charging IC ka hota hai, jo charging current ko control karta hai. Pehli nishani yeh hai ke phone sirf kisi khaas angle par charge ho. Doosri, battery percentage ruk jaye ya achanak gir jaye. Teesri, phone charge lagtay hi garam ho jaye. Chauthi, original charger aur cable ke bawajood slow charging ho. Paanchwi, phone kabhi charge ho aur kabhi bilkul na ho. Chhathi, charging port saaf honay ke bawajood koi farq na paray. Saatwi, phone on hi na ho jabke battery theek ho.
Pehle charger, cable aur port check karein. Doosra charger try karein aur port ko halki hawa se saaf karein. Agar masla wahi rahe to khud phone na kholein, kyun ke IC board par lagi hoti hai aur ghalat heat se board kharab ho sakta hai. Ache technician se pehle diagnosis karwayein, phir IC change karwayein. Sasti duplicate IC se bachein, warna masla dobara aa jayega.
📍 Mian Traderz, Sahiwal — Mobile Repairing Center
📱 WhatsApp: 0347 8750000
🔧 #MobileRepairing #MianTraderz