Mobile ka motherboard short ho jaye to phone achanak band ho jata hai, on nahi hota, ya battery jaldi garam ho kar khatam ho jati hai. Short circuit aksar paani lagnay, ghalat charger istemal karnay, ya board par dust aur corrosion ki wajah se hota hai. Kabhi phone charge par lagtay hi garam ho jata hai, kabhi power button dabane par koi response nahi milta. Yeh alamat nazar andaz karna mehenga par sakta hai, kyun ke short current board ke doosray parts ko bhi jala sakta hai.
Agar phone paani mein gira ho to foran band karein aur charge par bilkul na lagayein. Ghar par dryer se garam hawa na dein, is se nuqsan barhta hai. Acha technician pehle power supply se current check karta hai, phir short component dhoondta hai. Sirf wohi part change hona chahiye jo kharab ho, poora board change karna aksar zaroori nahi hota. Repair ke baad original charger istemal karein aur phone ko nami se bachayein. Sasti repair mein board par zyada heat dena phone ko mustaqil kharab kar sakta hai.
📍 Mian Traderz, Sahiwal — Mobile Repairing Center
📱 WhatsApp: 0347 8750000
🔧 #MobileRepairing #MianTraderz