Charging Ke Dauran Phone Garam Ho Jaye To Kya Karein? Overheating Ka Mukammal Hal 🔥

Charging ke dauran phone ka halka garam hona aam baat hai, lekin agar phone haath mein pakarna mushkil ho jaye to yeh khatre ki nishani hai. Normal heat thori der mein khatam ho jati hai, jab ke dangerous heat barhti rehti hai, battery phool sakti hai ya phone band ho sakta hai. Sab se pehle phone ka case utar dein, kyun ke mota case garmi ko andar rok leta hai. Heavy apps aur games band karein, aur charging ke dauran video call ya game na khelein. Background mein chalne wali apps bhi processor par bojh dalti hain, is liye unhein close karein. Hamesha original adapter aur cable use karein. Sasti ya nakli charger zyada voltage de sakta hai, jis se phone aur battery dono garam hote hain. Phone ko direct sunlight mein ya garam kamre mein charge na karein, aur bistar ya takiye ke neeche rakh kar charge karna to bilkul ghalat hai. Charging port aur adapter ko bhi check karein. Port mein dhool ya nami ho to safai ke baad hi charge karein, aur tooti ya jali hui cable foran badal dein. Warning: agar battery phool jaye, phone se ajeeb smell aaye ya screen ubhar jaye to foran charging band karein aur phone ko kisi achi repairing shop par check karwayein. Khud battery na kholein, yeh bohat khatarnak ho sakta hai. --- 📍 Mian Traderz, Sahiwal — Mobile Repairing Center 📱 WhatsApp: 0347 8750000 🔧 #MobileRepairing #MianTraderz