Phone Ka Sound Ek Taraf Zyada? Speaker Balance Kaise Theek Karein 🔊

Aaj kal ke zyada tar phones mein stereo speaker hote hain — aik neeche aur aik upar, earpiece ki taraf. Agar aapko lagta hai ke awaz aik taraf se zyada aur doosri taraf se kam aa rahi hai to pehle phone ki audio balance setting check karein. Android mein Settings > Accessibility > Audio Adjustment ya Hearing Enhancements mein jayein, wahan Left-Right balance ka slider milta hai. Isay beech mein set kar dein. iPhone mein Settings > Accessibility > Audio/Visual mein yeh balance slider maujood hai. Kabhi kabhi masla setting ka nahi, safai ka hota hai. Aik speaker ki jaali mein mitti ya lint bhar jaye to us taraf ki awaz dab jati hai. Speaker ki jaali ko naram brush se halke haath se saaf karein — sui ya nokdaar cheez kabhi andar na dalain, warna jaali phat sakti hai. Saaf karne ke baad koi gana ya video chala kar dono taraf ki awaz check karein. Agar balance theek karne aur safai ke baad bhi aik taraf ki awaz kam hai to phone ko safe mode mein chala kar dekhein — agar wahan awaz theek ho to kisi app ki wajah se masla hai. Aur agar safe mode mein bhi farq hai to ho sakta hai speaker kharab ho gaya ho ya us ki wire dheeli ho, is surat mein speaker check karwana behtar hai. Mono audio on karne se bhi dono speakers mein aik jaisi awaz aane lagti hai, jo aik taraf sunne mein mushkil walon ke liye madadgar hai. --- 📍 Mian Traderz, Sahiwal — Mobile Repairing Center 📱 WhatsApp: 0347 8750000 🔧 #MobileRepairing #MianTraderz