Call Ki Awaz Saaf Nahi? HD Voice Aur Call Settings Se Behtari 🔊

Agar call me awaz kat kat kar aaye ya doosri taraf awaz kam jaye to pehle ye check karein ke aap ke phone me VoLTE ya HD Voice on hai ya nahi. Settings me SIM ya Mobile Network me ja kar "VoLTE Calls" ko on karein. Is se call 4G network par lagti hai aur awaz zyada saaf hoti hai. Lekin is ke liye aap ke ilaqe me 4G coverage honi chahiye aur doosre phone me bhi ye sahulat ho. Doosra qadam: Network Mode ko "4G/3G/2G Auto" par rakhein. Agar sirf 2G par set hai to awaz ki quality kharab ho sakti hai. Teesra, mic ka surakh check karein — aksar mic me mitti jam jane se aap ki awaz doosri taraf kam jati hai. Narm brush se halka sa saaf karein, sui na dalein. Agar awaz sirf kisi ek jagah kharab hai to ye network ka masla ho sakta hai, phone ka nahi. Aik dafa phone ko restart karein aur SIM nikaal kar dobara lagayein. Bluetooth earphone ya handsfree lagane par bhi awaz ka farq par sakta hai — pehle bina handsfree ke call kar ke check karein. Agar ye sab ke baad bhi awaz kharab hai to mic ya network IC ka masla ho sakta hai, aur us ke liye kisi achhe technician ko dikhana behtar hai. --- 📍 Mian Traderz, Sahiwal — Mobile Repairing Center 📱 WhatsApp: 0347 8750000 🔧 #MobileRepairing #MianTraderz